qarīb se na guzar intizār baaqī rakh
qarābatoñ kā magar e'tibār baaqī rakh
bikharnā hai to fazā maiñ bikher de ḳhushbū
hayā nazar meñ qadam meñ vaqār baaqī rakh
hameñ hamāre hī ḳhvāboñ se kaun rokegā
kheñchā huā hai jo ḳhatt-e-hisār baaqī rakh
tirā vajūd ibārat hai ḳhush-adā.ī se
kashīda-qāmatī-e-ḳhush-gavār baaqī rakh
ḳhizāñ se sulh barat kyūñki vo to aa.egī
phir ehtimām se fasl-e-bahār baaqī rakh
ye kaj-kulāh na.e vaqt ke na Thahreñge
khiñchī kamān mire shahryār baaqī rakh
miTe miTe se nuqūsh-e-qadam haiñ kuchh baaqī
ye ḳhushbuoñ meñ basī rahguzār baaqī rakh
ye sard-o-garm jo māhaul ke taqāze haiñ
ba-chashm-e-nam nafas-e-sho.ala-bār baaqī rakh
takān hai to sambhal jā magar na uuñgh kabhī
safar kī dhuul badan kā ġhubār baaqī rakh
anā bikher na hargiz bachā ke rakh ḳhud ko
har ek dar pe na dāman pasār baaqī rakh
ye nau-tarāzī-e-ma.anī bhī ek shai hai 'atīq'
rivāyatoñ se bhī rishte sañvār baaqī rakh