Ibn e Insha

sham-e-gham ki sahar nahin hoti

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
shām-e-ġham kī sahar nahīñ hotī
yā hamīñ ko ḳhabar nahīñ hotī
ham ne sab dukh jahāñ ke dekhe haiñ
bekalī is qadar nahīñ hotī
naala yuuñ nā-rasā nahīñ rahtā
aah yuuñ be-asar nahīñ hotī
chāñd hai kahkashāñ hai taare haiñ
koī shai nāma-bar nahīñ hotī
ek jāñ-soz o nā-murād ḳhalish
is taraf hai udhar nahīñ hotī
dosto ishq hai ḳhatā lekin
kyā ḳhatā darguzar nahīñ hotī
raat aa kar guzar bhī jaatī hai
ik hamārī sahar nahīñ hotī
be-qarārī sahī nahīñ jaatī
zindagī muḳhtasar nahīñ hotī
ek din dekhne ko aa jaate
ye havas umr bhar nahīñ hotī
husn sab ko ḳhudā nahīñ detā
har kisī kī nazar nahīñ hotī
dil piyāla nahīñ gadā.ī kā
āshiqī dar-ba-dar nahīñ hotī
Top Urdushayar.com