dekh hamārī diid ke kāran kaisā qābil-e-dīd huā
ek sitāra baiThe baiThe tābish meñ ḳhurshīd huā
aaj to jaanī rasta takte shaam kā chāñd padīd huā
tū ne to inkār kiyā thā dil kab nā-ummīd huā
aan ke is bīmār ko dekhe tujh ko bhī taufīq huī
lab par us ke naam thā terā jab bhī dard shadīd huā
haañ us ne jhalkī dikhlā.ī ek hī pal ko darīche meñ
jaano ik bijlī lahrā.ī aalam ek shahīd huā
tū ne ham se kalām bhī chhoḌā arz-e-vafā ke sunte hī
pahle kaun qarīb thā ham se ab to aur ba.iid huā
duniyā ke sab kāraj chhoḌe naam pe tere 'inshā' ne
aur use kyā thoḌe ġham the terā ishq mazīd huā