Ibn e Insha

log hilal-e-sham se baDh kar pal mein mah-e-tamam hue

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
log hilāl-e-shām se baḌh kar pal meñ māh-e-tamām hue
ham har burj meñ ghaTte ghaTte sub.h talak gumnām hue
un logoñ kī baat karo jo ishq meñ ḳhush-anjām hue
najd meñ qais yahāñ par 'inshā' ḳhaar hue nākām hue
kis kā chamaktā chehrā laa.eñ kis sūraj se māñgeñ dhuup
ghuur añdherā chhā jaatā hai ḳhalvat-e-dil meñ shaam hue
ek se ek junūñ kā maarā is bastī meñ rahtā hai
ek hamīñ hushiyār the yaaro ek hamīñ bad-nām hue
shauq kī aag nafas kī garmī ghaTte ghaTte sard na ho
chaah kī raah dikhā kar tum to vaqf-e-darīcha-o-bām hue
un se bahār o baaġh kī bāteñ kar ke jī ko dukhānā kyā
jin ko ek zamāna guzrā kunj-e-qafas meñ raam hue
'inshā'-sāhib pau phaTtī hai taare Duube sub.h huī
baat tumhārī maan ke ham to shab bhar be-ārām hue
Top Urdushayar.com