Ibn e Insha

jalwa-numai be-parwai han yahi rit jahan ki hai

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
jalva-numā.ī be-parvā.ī haañ yahī riit jahāñ kī hai
kab koī laḌkī man kā darīcha khol ke bāhar jhāñkī hai
aaj magar ik naar ko dekhā jaane ye naar kahāñ kī hai
misr kī mūrat chiin kī guḌiyā devī hindostāñ kī hai
mukh par ruup se dhuup kā aalam baal añdherī shab kī misāl
aañkh nashīlī baat rasīlī chaal balā kī bāñkī hai
'inshā'-jī use rok ke pūchheñ tum ko to muft milā hai husn
kis liye phir bāzār-e-vafā meñ tum ne ye jins girāñ kī hai
ek zarā sā gosha de do apne paas jahāñ se duur
is bastī meñ ham logoñ ko hājat ek makāñ kī hai
ahl-e-ḳhirad tādīb kī ḳhātir pāthar le le aa pahuñche
jab kabhī ham ne shahr-e-ġhazal meñ dil kī baat bayāñ kī hai
mulkoñ mulkoñ shahroñ shahroñ jogī ban kar ghūmā kaun
qarya-ba-qarya sahrā-ba-sahrā ḳhaak ye kis ne phāñkī hai
ham se jis ke taur hoñ baabā dekhoge do ek hī aur
kahne ko to shahr-e-karachi bastī dil-zadagāñ kī hai
Top Urdushayar.com