sab ko dil ke daaġh dikhā.e ek tujhī ko dikhā na sake
terā dāman duur nahīñ thā haath hamīñ phailā na sake
tū ai dost kahāñ le aayā chehra ye ḳhurshīd-misāl
siine meñ ābād kareñge āñkhoñ meñ to samā na sake
nā tujh se kuchh ham ko nisbat nā tujh ko kuchh ham se kaam
ham ko ye mālūm thā lekin dil ko ye samjhā na sake
ab tujh se kis muñh se kah deñ saat samundar paar na jā
biich kī ik dīvār bhī ham to phāñd na paa.e Dhā na sake
man paapī kī ujḌī khetī sūkhī kī sūkhī hī rahī
umDe bādal garje bādal būñdeñ do barsā na sake