sunte haiñ phir chhup chhup un ke ghar meñ aate jaate ho
'inshā' sāhab nāhaq jī ko vahshat meñ uljhāte ho
dil kī baat chhupānī mushkil lekin ḳhuub chhupāte ho
ban meñ daanā shahr ke andar dīvāne kahlāte ho
bekal bekal rahte ho par mahfil ke ādāb ke saath
aañkh churā kar dekh bhī lete bhole bhī ban jaate ho
piit meñ aise laakh jatan haiñ lekin ik din sab nākām
aap jahāñ meñ rusvā hoge vaaz hameñ farmāte ho
ham se naam junūñ kā qaa.im ham se dasht kī ābādī
ham se dard kā shikva karte ham ko zaḳhm dikhāte ho