Ibn e Insha

apne hamrah jo aate ho idhar se pahle

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
apne hamrāh jo aate ho idhar se pahle
dasht paḌtā hai miyāñ ishq meñ ghar se pahle
chal diye uTh ke sū-e-shahr-e-vafā kū-e-habīb
pūchh lenā thā kisī ḳhāk-basar se pahle
ishq pahle bhī kiyā hijr kā ġham bhī dekhā
itne taḌpe haiñ na ghabrā.e na tarse pahle
jī bahaltā hī nahīñ ab koī saa.at koī pal
raat Dhaltī hī nahīñ chaar pahar se pahle
ham kisī dar pe na ThiTke na kahīñ dastak dī
saikḌoñ dar the mirī jaañ tire dar se pahle
chāñd se aañkh milī jī kā ujālā jaagā
ham ko sau baar huī sub.h sahar se pahle
Top Urdushayar.com