Ibn e Insha

jab dahr ke gham se aman na mili hum logon ne ishq ijad kiya

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
jab dahr ke ġham se amaañ na milī ham logoñ ne ishq ījād kiyā
kabhī shahr-e-butāñ meñ ḳharāb phire kabhī dasht-e-junūñ ābād kiyā
kabhī bastiyāñ ban kabhī koh-o-daman rahā kitne dinoñ yahī jī kā chalan
jahāñ husn milā vahāñ baiTh rahe jahāñ pyaar milā vahāñ saad kiyā
shab-e-māh meñ jab bhī ye dard uThā kabhī bait kahe likhī chāñd-nagar
kabhī koh se jā sar phoḌ mare kabhī qais ko jā ustād kiyā
yahī ishq bil-āḳhir rog banā ki hai chaah ke saath ba-jog banā
jise banñā thā aish vo sog banā baḌā man ke nagar meñ fasād kiyā
ab qurbat-o-sohbat-e-yār kahāñ lab o aariz o zulf o kanār kahāñ
ab apnā bhī 'mīr' sā aalam hai Tuk dekh liyā jī shaad kiyā
Top Urdushayar.com