Ibn e Insha

ai dil walo ghar se niklo deta dawat-e-am hai chand

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
ai dil vaalo ghar se niklo detā dāvat-e-ām hai chāñd
shahroñ shahroñ qariyoñ qariyoñ vahshat kā paiġhām hai chāñd
tū bhī hare darīche vaalī aa jā bar-sar-e-bām hai chāñd
har koī jag meñ ḳhud sā DhūñDe tujh bin base ārām hai chāñd
sakhiyoñ se kab sakhiyāñ apne jī ke bhed chhupātī haiñ
ham se nahīñ to us se kah de kartā kahāñ kalām hai chāñd
jis jis se use rabt rahā hai aur bhī log hazāroñ haiñ
ek tujhī ko be-mehrī kā detā kyuuñ ilzām hai chāñd
vo jo terā daaġh ġhulāmī māthe par liye phirtā hai
us kā naam to 'inshā' Thahrā nāhaq ko badnām hai chāñd
ham se bhī do bāteñ kar le kaisī bhīgī shaam hai chāñd
sab kuchh sun le aap na bole terā ḳhuub nizām hai chāñd
ham is lambe-chauḌe ghar meñ shab ko tanhā hote haiñ
dekh kisī din aa mil ham se ham ko tujh se kaam hai chāñd
apne dil ke mashriq-o-maġhrib us ke ruḳh se munavvar haiñ
be-shak terā ruup bhī kāmil be-shak tū bhī tamām hai chāñd
tujh ko to har shaam falak par ghaTtā-baḌhtā dekhte haiñ
us ko dekh ke iid kareñge apnā aur islām hai chāñd
Top Urdushayar.com