dil kis ke tasavvur meñ jaane rātoñ ko pareshāñ hotā hai
ye husn-e-talab kī baat nahīñ hotā hai mirī jaañ hotā hai
ham terī sikhā.ī mantiq se apne ko to samjhā lete haiñ
ik ḳhaar khaTaktā rahtā hai siine meñ jo pinhāñ hotā hai
phir un kī galī meñ pahuñchegā phir sahv kā sajda kar legā
is dil pe bharosā kaun kare har roz musalmāñ hotā hai
vo dard ki us ne chhīn liyā vo dard ki us kī baḳhshish thā
tanhā.ī kī rātoñ meñ 'inshā' ab bhī mirā mehmāñ hotā hai