Ibn e Insha

raat ke KHwab sunaen kis ko raat ke KHwab suhane the

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
raat ke ḳhvāb sunā.eñ kis ko raat ke ḳhvāb suhāne the
dhuñdle dhuñdle chehre the par sab jāne-pahchāne the
ziddī vahshī allhaḌ chanchal mīThe log rasīle log
hoñT un ke ġhazloñ ke misre āñkhoñ meñ afsāne the
vahshat kā unvān hamārī un meñ se jo naar banī
dekheñge to log kaheñge 'inshā'-jī dīvāne the
ye laḌkī to in galiyoñ meñ roz hī ghūmā kartī thī
is se un ko milnā thā to is ke laakh bahāne the
ham ko saarī raat jagāyā jalte bujhte tāroñ ne
ham kyuuñ un ke dar par utre kitne aur Thikāne the
Top Urdushayar.com