piit karnā to ham se nibhānā sajan ham ne pahle hī din thā kahā nā sajan
tum hī majbūr ho ham hī muḳhtār haiñ ḳhair maanā sajan ye bhī maanā sajan
ab jo hone ke qisse sabhī ho chuke tum hameñ kho chuke ham tumheñ kho chuke
aage dil kī na bātoñ meñ aanā sajan ki ye dil hai sadā kā divānā sajan
ye bhī sach hai na kuchh baat jī kī banī suunī rātoñ meñ dekhā kiye chāñdnī
par ye saudā hai ham ko purānā sajan aur jiine kā apne bahānā sajan
shahr ke log achchhe haiñ hamdard haiñ par hamārī suno ham jahāñ-gard haiñ
dāġh-e-dil mat kisī ko dikhānā sajan ye zamāna nahīñ vo zamāna sajan
us ko muddat huī sabr karte hue aaj kū-e-vafā se guzarte hue
pūchh kar us gadā kā Thikānā sajan apne 'inshā' ko bhī dekh aanā sajan