Ibn e Insha

dekh hamare mathe par ye dasht-e-talab ki dhul miyan

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
dekh hamāre māthe par ye dasht-e-talab kī dhuul miyāñ
ham se ajab tirā dard kā naata dekh hameñ mat bhuul miyāñ
ahl-e-vafā se baat na karnā hogā tirā usuul miyāñ
ham kyuuñ chhoḌeñ un galiyoñ ke pheroñ kā ma.amūl miyāñ
yūñhī to nahīñ dasht meñ pahuñche yūñhī to nahīñ jog liyā
bastī bastī kāñTe dekhe jañgal jañgal phuul miyāñ
ye to kaho kabhī ishq kiyā hai jag meñ hue ho rusvā bhii?
is ke sivā ham kuchh bhī na pūchheñ baaqī baat fuzūl miyāñ
nasb kareñ mehrāb-e-tamannā diida o dil ko farsh kareñ
sunte haiñ vo kū-e-vafā meñ aaj kareñge nuzūl miyāñ
sun to liyā kisī naar kī ḳhātir kaaTā koh nikālī nahr
ek zarā se qisse ko ab dete kyuuñ ho tuul miyāñ
khelne deñ unheñ ishq kī baazī kheleñge to sīkheñge
'qais' kī yā 'farhād' kī ḳhātir kholeñ kyā schōl miyāñ
ab to hameñ manzūr hai ye bhī shahr se niklīñ rusvā huuñ
tujh ko dekhā bāteñ kar liiñ mehnat huī vasūl miyāñ
'inshā' jī kyā uzr hai tum ko naqd-e-dil-o-jāñ nazr karo
rūp-nagar ke naake par ye lagtā hai mahsūl miyāñ
Top Urdushayar.com