Ibn e Insha

hum jangal ke jogi hum ko ek jagah aaram kahan

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
ham jañgal ke jogī ham ko ek jagah ārām kahāñ
aaj yahāñ kal aur nagar meñ sub.h kahāñ aur shaam kahāñ
ham se bhī piit kī baat karo kuchh ham se bhī logo pyaar karo
tum to pareshāñ ho bhī sakoge ham ko yahāñ pe davām kahāñ
sāñjh-samay kuchh taare nikle pal-bhar chamke Duub ga.e
ambar ambar DhūñDh rahā hai ab unheñ māh-e-tamām kahāñ
dil pe jo biite sah lete haiñ apnī zabāñ meñ kah lete haiñ
'inshā'-jī ham log kahāñ aur 'mīr' kā rañg-e-kalām kahāñ
Top Urdushayar.com