Ibn e Insha

dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho
is baat se ham ko kyā matlab ye kaise ho ye kyūñkar ho
ik bhiik ke donoñ kaase haiñ ik pyaas ke dono pyāse haiñ
ham khetī haiñ tum bādal ho ham nadiyāñ haiñ tum sāgar ho
ye dil hai ki jalte siine meñ ik dard kā phoḌā allhaḌ sā
nā gupt rahe nā phuuT bahe koī marham ho koī nishtar ho
ham sāñjh samay kī chhāyā haiñ tum chaḌhtī raat ke chandramāñ
ham jaate haiñ tum aate ho phir mel kī sūrat kyūñkar ho
ab husn kā rutba aalī hai ab husn se sahrā ḳhālī hai
chal bastī meñ banjāra ban chal nagrī meñ saudāgar ho
jis chiiz se tujh ko nisbat hai jis chiiz kī tujh ko chāhat hai
vo sonā hai vo hiirā hai vo maaTī ho yā kañkar ho
ab 'inshā'-jī ko bulānā kyā ab pyaar ke diip jalānā kyā
jab dhuup aur chhāyā ek se hoñ jab din aur raat barābar ho
vo rāteñ chāñd ke saath ga.iiñ vo bāteñ chāñd ke saath ga.iiñ
ab sukh ke sapne kyā dekheñ jab dukh kā sūraj sar par ho
Top Urdushayar.com