jaane tū kyā DhūñDh rahā hai bastī meñ vīrāne meñ
lailā to ai qais milegī dil ke daulat-ḳhāne meñ
janam janam ke sātoñ dukh haiñ us ke māthe par tahrīr
apnā aap miTānā hogā ye tahrīr miTāne meñ
mahfil meñ us shaḳhs ke hote kaif kahāñ se aatā hai
paimāne se āñkhoñ meñ yā āñkhoñ se paimāne meñ
kis kā kis kā haal sunāyā tū ne ai afsāna-go
ham ne ek tujhī ko DhūñDā is saare afsāne meñ
is bastī meñ itne ghar the itne chehre itne log
aur kisī ke dar pe na pahuñchā aisā hosh divāne meñ