dil sī chiiz ke gāhak hoñge do yā ek hazār ke biich
'inshā' jī kyā maal liye baiThe ho tum bāzār ke biich
pīnā-pilānā ain gunah hai jī kā lagānā ain havas
aap kī bāteñ sab sachchī haiñ lekin bharī bahār ke biich
ai saḳhiyo ai ḳhush-nazro yak guuna karam ḳhairāt karo
na.ara-zanāñ kuchh log phireñ haiñ sub.h se shahr-e-nigār ke biich
ḳhār-o-ḳhas-o-ḳhāshāk to jāneñ ek tujhī ko ḳhabar na mile
ai gul-e-ḳhūbī ham to abas badnām hue gulzār ke biich
minnat-e-qāsid kaun uThā.e shikva-e-darbāñ kaun kare
nāma-e-shauq ġhazal kī sūrat chhapne ko do aḳhbār ke biich