Ibn e Insha

dil ishq mein be-payan sauda ho to aisa ho

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
dil ishq meñ be-pāyāñ saudā ho to aisā ho
dariyā ho to aisā ho sahrā ho to aisā ho
ik ḳhāl-e-suvaidā meñ pahnā.ī-e-do-ālam
phailā ho to aisā ho simTā ho to aisā ho
ai qais-e-junūñ-pesha 'inshā' ko kabhī dekhā
vahshī ho to aisā ho rusvā ho to aisā ho
dariyā ba-hubāb-andar tūfāñ ba-sahāb-andar
mahshar ba-hijāb-andar honā ho to aisā ho
ham se nahīñ rishta bhī ham se nahīñ miltā bhī
hai paas vo baiThā bhī dhokā ho to aisā ho
vo bhī rahā begāna ham ne bhī na pahchānā
haañ ai dil-e-dīvāna apnā ho to aisā ho
is dard meñ kyā kyā hai rusvā.ī bhī lazzat bhī
kāñTā ho to aisā ho chubhtā ho to aisā ho
ham ne yahī māñgā thā us ne yahī baḳhshā hai
banda ho to aisā ho daatā ho to aisā ho
Top Urdushayar.com