Ibn e Insha

raaz kahan tak raaz rahega manzar-e-am pe aaega

Ibn e Insha

Phillaur, Punjab, India

1927-1978
raaz kahāñ tak raaz rahegā manzar-e-ām pe aa.egā
jī kā daaġh ujāgar ho kar sūraj ko sharmā.egā
shahroñ ko vīrān karegā apnī aañch kī tezī se
vīrānoñ meñ mast albele vahshī phuul khilā.egā
haañ yahī shaḳhs gudāz aur nāzuk hoñToñ par muskān liye
ai dil apne haath lagāte patthar kā ban jā.egā
diida o dil ne dard kī apne baat bhī kī to kis se kī
vo to dard kā baanī Thahrā vo kyā dard baTā.egā
terā nuur zuhūr salāmat ik din tujh par māh-e-tamām
chāñd-nagar kā rahne vaalā chāñd-nagar likh jā.egā
Top Urdushayar.com