Asghar Mehdi Hosh

chehron ko be-naqab samajhne laga tha main

Asghar Mehdi Hosh

Jaunpur, Uttar pradesh, India

chehroñ ko be-naqāb samajhne lagā thā maiñ
sab ko khulī kitāb samajhne lagā thā maiñ
jalnā hī chāhiye thā mujhe aur jal gayā
añgāroñ ko gulāb samajhne lagā thā maiñ
ye kyā huā ki niiñd hī āñkhoñ se uḌ ga.ī
kuchh kuchh zabān-e-ḳhvāb samajhne lagā thā maiñ
apnī hī raushnī se nazar khā ga.ī fareb
zarroñ ko āftāb samajhne lagā thā maiñ
phir kyuuñ sazā-e-tishna-labī dī ga.ī mujhe
paanī ko bhī sharāb samajhne lagā thā maiñ
buniyād apne ghar kī fazāoñ meñ Daal dī
bastī ko zer-e-āb samajhne lagā thā maiñ
mujh se hī ho ga.ī hai savāl-e-vafā kī bhuul
duniyā ko lā-javāb samajhne lagā thā maiñ
Top Urdushayar.com