phuul patthar kī chaTānoñ pe khilā.eñ ham bhī
aap kahiye to koī sher sunā.eñ ham bhī
ret par khelte bachchoñ kī nazar se bach kar
aao ik ḳhvāb kī tasvīr banā.eñ ham bhī
ab ke mausam kī havāoñ meñ baḌī vahshat hai
zard pattoñ kī tarah TuuT na jaa.eñ ham bhī
qāfile aur bhī is dasht se guzre hoñge
le ke aa.e haiñ faqīroñ se duā.eñ ham bhī
log jalte hue ghar dekh ke ḳhush hote haiñ
apnā ghar ho to kabhī aag lagā.eñ ham bhī
muntazir hai koī vaadī koī bastī koī dasht
ab pahāḌoñ se pighal kar utar aa.eñ ham bhī
ham se kyā kahte ho fayyāzī-e-dast-e-ḳhairāt
isī kūche meñ lagāte haiñ sadā.eñ ham bhī