Asghar Mehdi Hosh

jo is zamir faroshi ke maherin mein hai

Asghar Mehdi Hosh

Jaunpur, Uttar pradesh, India

jo is zamīr faroshī ke māherīn meñ hai
vo aadmī bhī sunā hai muarraḳhīn meñ hai
baḌhā rahā hai mirī samt dostī kā haath
zarūr baat koī us kī āstīn meñ hai
zamāna biit gayā shahr-e-dushmanī chhoḌe
mirā shumār abhī tak muhājirīn meñ hai
vo mujh se kahtā hai phūloñ se ehtiyāt karo
mirā vo dost bhī mere munāfiqīn meñ hai
maiñ āsmān kī bātoñ se ḳhush nahīñ hotā
mire ḳhamīr kī miTTī isī zamīn meñ hai
hiran sā vahshī mohabbat kā dars detā hai
ye vāqi.a hai kitāb-e-sabuktagīn meñ hai
ġhazal meñ ahd-nigārī kā husn bhī hai kamāl
mirā ḳhayāl yaqīnan kisī hasīn meñ hai
Top Urdushayar.com