Ravi Kumar

dhund mein lipTe hue manzar bahut achchhe lage

Ravi Kumar

dhund meñ lipTe hue manzar bahut achchhe lage
TimTimātī raushnī meñ ghar bahut achchhe lage
zindagī ke rāstoñ par reñgte logoñ ke biich
sar uThāte bolte kuchh sar bahut achchhe lage
barf-zāroñ se utarte jhūmte dariyāoñ meñ
pāniyoñ ko rokte patthar bahut achchhe lage
aaj bhī baaqī haiñ jin se is nagar kī raunaqeñ
dā.eroñ ke biich vo mehvar bahut achchhe lage
zindagī terī anā ko rauñd kar aate hue
bādshāh-e-vaqt ko lashkar bahut achchhe lage
maan kar bhī tum ne ham ko umr bhar maanā nahīñ
kyā huā hai aaj ham mar kar bahut achchhe lage
Top Urdushayar.com