jo pūchhā rāhiyoñ ne kyā uThā kar jeb meñ rakh lī
uThā.ī jo uThannī vo dikhā kar jeb meñ rakh lī
huā jab aqd to bāñTī mire saale ne shīrīnī
magar us meñ se thoḌī sī bachā kar jeb meñ rakh lī
namāzeñ bhī adā hotī rahīñ un kī magar jab bhī
milī rishvat to hākim ne chhupā kar jeb meñ rakh lī
ajab shā.er kī aadat hai ki jab biiḌī jalāne ko
kisī se māñgī māchis to jalā kar jeb meñ rakh lī
sar-e-mahfil kuchh is andāz se hone lagī hōting
ki 'jauhar' ne ġhazal aadhī sunā kar jeb meñ rakh lī