sabā gul-e-rez jāñ-parvar fazā hai
ye mausam aur vīrāñ mai-kada hai
giraftār-e-ḳham-o-kākul hai koī
ġham-e-daurāñ meñ koī mubtalā hai
nahīñ hai bevafā.ī kī shikāyat
tumhārī kam-nigāhī kā gilā hai
rah-e-hastī se marg-e-nā-gahāñ tak
faqat do hī qadam kā fāsla hai
ye duniyā imtihāñ-gāh-e-mohabbat
ye duniyā hāsil-e-karb-o-balā hai
badal Daalā nizām-e-jān-o-dil ko
ye sab mere junūñ kā hausla hai