Bashir Farooq

taKHliq-e-kaenat digar kar sake to kar

Bashir Farooq

Gurdaspur, Punjab, India

1918
taḳhlīq-e-kā.enāt digar kar sake to kar
paidā ḳhud apne shām-o-sahar kar sake to kar
phūloñ meñ shab guzārnā mushkil nahīñ koī
kāñToñ pe koī raat basar kar sake to kar
achchhā nahīñ kisī kī tamannā se khelnā
achchhā yahī hai is se hazar kar sake to kar
har ashk-e-ḳhūñ hai maḳhzan-e-sarmāya-e-hayāt
har ashk-e-ḳhūñ ko la.al-o-gohar kar sake to kar
taare marāhil-e-safar-e-shauq hī sahī
tāroñ ko bhī sharīk-e-safar kar sake to kar
aql-o-ḳhirad ke marhale tai kar liye to kyā
vahm-o-gumāñ ke ma.arke sar kar sake to kar
'fārūq' ye bahār-e-chaman phir na aa.egī
yārān-e-mai-kada ko ḳhabar kar sake to kar
Top Urdushayar.com