vo kabhī shāḳh-e-gul-e-tar kī tarah lagtā hai
aur kabhī dashna-o-ḳhanjar kī tarah lagtā hai
le ke aayā huuñ maiñ kuchh ḳhvāb un āñkhoñ ke liye
aa.ina bhī jinheñ patthar kī tarah lagtā hai
hādse aise bhī guzre ki tasavvur jin kā
dil ko chhū jaa.e to Thokar kī tarah lagtā hai
halchaleñ dā.era-e-jāñ meñ chhupī rahtī haiñ
jis se miliye vo samundar kī tarah lagtā hai
kaisā mausam hai ki chubhtī haiñ badan meñ kirneñ
sar pe sūraj kisī ḳhanjar kī tarah lagtā hai
aadmī shiddat-e-ehsās kā maarā ho agar
barg-e-gul bhī use patthar kī tarah lagtā hai
dasht-e-be-āb meñ jalte hue hoñToñ ko 'bashīr'
ek qatra bhī samundar kī tarah lagtā hai