Bashir Farooq

wo sitam-parwar ba-chashm ashk-bar aa hi gaya

Bashir Farooq

Gurdaspur, Punjab, India

1918
vo sitam-parvar ba-chashm ashk-bār aa hī gayā
chāk-dāmānī pe merī us ko pyaar aa hī gayā
miTte miTte miT ga.ī jān-e-vafā kī aarzū
aate aate be-qarārī ko qarār aa hī gayā
chupke chupke mujh pe merī ḳhāmushī hañstī rahī
rote rote jazb-e-dil par iḳhtiyār aa hī gayā
koī va.ada jis kā ma.anī-āshnā hotā nahīñ
phir usī va.ada-shikan par e'tibār aa hī gayā
yā ilāhī jazba-e-hosh-o-ḳhirad kī ḳhair ho
muntazir jis kā junūñ thā vo dayār aa hī gayā
Top Urdushayar.com