us kī yaad kā itr lagā kar niklā thā
kyā saudā maiñ sar meñ le kar niklā thā
sub.h ke sūraj kā chehra thā raḳhshanda
raat ke ḳhuuñ kā ġhāza mal kar niklā thā
jaane kyoñ apne ko shīsha jaanā phir
ḳhud hī haath meñ sañg uThā kar niklā thā
us ne raah ke saare patthar toḌ diye
vo jo pahlī Thokar khā kar niklā thā
rañgīnī aur ḳhushbū mujh par qurbāñ thī
us kā qasīda jab maiñ paḌh kar niklā thā
jaane insāñ ne kyā sochā hogā jab
sūraj pahlī baar falak par niklā thā
daur-e-ḳhizāñ ke ḳhatm kā yuuñ elaan huā
taaza pattā shāḳh-e-shajar par niklā thā