Qamar Naqvi

phir se tere nuqush nazar pe ayan hue

Qamar Naqvi

phir se tire nuqūsh nazar pe ayaañ hue
lo phir visāl-e-yār ke lamhe javāñ hue
ik baat baḌh ke bā.is-e-nārāzgī huī
kuchh lafz muñh se nikle to āh-o-fuġhāñ hue
tere sabhī daroġh vajāhat meñ chhup ga.e
aur merī saaf baat pe kitne gumāñ hue
kyūñkar kareñge yaad vo dard-e-firāq meñ
ham is qadar qarīb bhī un ke kahāñ hue
mohlat hī kab milī ki sambhal paate ham 'qamar'
ham par to jitne zulm hue nā-gahāñ hue
Top Urdushayar.com