kahīñ sānehe mileñge kahīñ hādisa milegā
tire shahr kī fazā se mujhe aur kyā milegā
koī sañg toḌne hai sar-e-rāh-e-zindagānī
maiñ har ik se pūchhtā huuñ kahīñ aa.inā malegā
tirī jaan baḳhsh denā mirī maslahat kā juz hai
mire qātiloñ se ik din tirā silsila milegā
mire qatl kī haqīqat na chhupā sakegā koī
mire qātiloñ ke ghar meñ mirā ḳhat jalā milegā
maiñ bhañvar meñ jab phañsā thā ye sadā dī us ne 'amabar'
tirī naav hai bhañvar meñ tujhe nā-ḳhudā malegā