hairāñ maiñ pahlī baar huā zindagī meñ kal
apnī jhalak dikhā.ī paḌī thī kisī meñ kal
māhaul meñ sajā ke añdheroñ kā ik fareb
jugnū ko maiñ ne dekh liyā raushnī meñ kal
achchhe nahīñ ki haal pe maazī kā ho asar
na pūchh aaj jo bhī huā be-kalī meñ kal
kausar kī mauj shukr ke sajde meñ gir paḌe
kiyā jaane maiñ ne kyā kahā tishna-labī meñ kal
kyā jaane qātiloñ ko nahīñ hai ki hai ḳhabar
bahr-e-tavāf aa.egā 'amabar' galī meñ kal