ā.īna dekh kar na to shīshe ko dekh kar
hairān dil hai aap ke chehre ko dekh kar
ye vāqi.a bhī ḳhuub sar-e-rah-guzar huā
patthar ne muñh chhapā liye shīshe ko dekh kar
bāzār se guzarte hue lag rahā hai Dar
bachcha machal na jaa.e khilaune ko dekh kar
jugnū kī koshishoñ se sahar kaise ho ga.ī
hairān haiñ añdhere ujāle ko dekh kar
sach bolne kā hausla kuchh aur baḌh gayā
'amabar' farāz-e-dār pe sachche ko dekh kar