uThte haiñ qadam tez havā hai mire pīchhe
lagtā hai koī qāfila sā hai mire pīchhe
jis bazm meñ jaatā huuñ mujhe miltī hai izzat
vo yuuñ ki mirī maañ kī duā hai mire pīchhe
be-manzil-e-maqsud maiñ ġhaltāñ huuñ safar meñ
afsos zamāne tū chalā hai mire pīchhe
muḌnā hai mujhe moḌ mohabbat ke nagar ko
gaañv kī mire āb-o-havā hai mire pīchhe
ye dhuup hai jo sar ko mire Dhāñp rahī hai
ye saaya mirā hai ki chhupā hai mire pīchhe
kahtā hai mujhe aap se aage nahīñ chalnā
us taur zamāna ye paḌā hai mire pīchhe