ajiib shor hai saarā jahān boltā hai
mire yaqīn ke aage gumān boltā hai
use kaho ki vo hissa bane kahānī kā
ye jo koī bhī pas-e-dāstān boltā hai
samā.atoñ pe fusūñ taarī hone lagtā hai
vo aisī shaan se urdu zabān boltā hai
usī ko haq hai tirī anjuman meñ bolne kā
tire huzūr jo shāyān-e-shān boltā hai
use salīqa nahīñ hai baḌoñ meñ baiThne kā
jo merī guftugū ke darmiyān boltā hai
na jānūñ maiñ ye tamāshā hai kitnī der abhī
bhañvar ke aage mirā bādbān boltā hai
maiñ be-tarah ke ka.ī giit gungunātā huuñ
safar meñ jaise koī sārbān boltā hai