ye mire chār-sū ik tamāshā lage
ālam-e-rañg-o-bū ik tamāshā lage
dekh chāroñ-taraf ik tamāshā lagā
chāhtā thā na to ik tamāshā lage
dar-haqīqat ye koī tamāshā nahīñ
jo tujhe hū-ba-hū ik tamāshā lage
rañg uḌnā munāsib hai mai-ḳhvār kā
TūTne se subū ik tamāshā lage
phūTe zaḳhm-e-jigar aur bahe aañkh se
taaza taaza lahū ik tamāshā lage
apne āshuftagāñ kī ḳhabar lene aa
yā tire rū-ba-rū ik tamāshā lage
jā ke allāh ke ghar manā.eñ use
aaj kar ke vuzū ik tamāshā lage
miTTī zarḳhez ho yā na ho dasht kī
bahar-zauq-e-numū ik tamāshā lage