zindagānī ko fan ke naam kiyā
kaam karnā thā maiñ ne kaam kiyā
ilm hī kī sharāb pī jhuk kar
ḳhud ko hargiz na vaqf-e-jām kiyā
ġham huā merī zindagī kā madār
is qadar ġham kā ehtirām kiyā
jaise ma.ashūq se ho rū-e-suḳhan
zindagī tujh se yuuñ kalām kiyā
ḳhaak chhānī jo fan ke sahrā kī
ham ne zauq-e-junūñ ko aam kiyā
kāmilān-e-suḳhan ko paḌh paḌh kar
sher-goī meñ kuchh to naam kiyā
apne fan par na aañch aane dī
umr bhar fan kā ehtirām kiyā
koī manzil na thī jo sar na huī
jab bhī himmat ko tez-gām kiyā
husn ko maiñ ne TuuT kar chāhā
husn ke dil meñ bhī qayām kiyā
fan meñ mujh jaisī jis ne kāvish kī
maiñ ne dil se use salām kiyā
umr bhar shā.erī jo kī maġhmūm
maiñ ne gumnāmiyoñ meñ naam kiyā