zāhiran shaad huuñ farhāñ huuñ hamesha kī tarah
bātinan zār-o-pareshāñ huuñ hamesha kī tarah
dil mirā barg-e-ḳhizāñ-dīda kī mānind sahī
maiñ parastār-e-bahārāñ huuñ hamesha kī tarah
merī ā.ankhoñ meñ kisī ne nahīñ dekhe aañsū
phir bhī ye sach hai ki giryāñ huuñ hamesha kī tarah
ravish-e-dahr se ranjīda huuñ bezār nahīñ
ravish-e-dahr pe ḳhandāñ huuñ hamesha kī tarah
jaan kar bhī ki tirā qurb hai ab nā-mumkin
maiñ tire qurb kā ḳhvāhāñ huuñ hamesha kī tarah
mujh se hai un kī vahī be-ruḳhī-o-be-mehrī
maiñ vahī banda-e-yārāñ huuñ hamesha kī tarah
mere anfās kī lau se nahīñ mahfil raushan
ik charāġh-e-tah-e-dāmāñ huuñ hamesha kī tarah
merī mastī pe na kuchh aur gumāñ ho yaaro
sāz-e-dil hī pe to raqsāñ huuñ hamesha kī tarah
sar uThā.e na vatan meñ kahīñ maz.hab kā junūñ
isī andeshe se larzāñ huuñ hamesha kī tarah
mujh ko aqdār-e-adab jaan se baḌh kar haiñ aziiz
hurmat-e-fan kā nigahbāñ huuñ hamesha kī tarah
muztarib dīda-o-dil zehn hai uljhā uljhā
husn se tālib-e-darmāñ huuñ hamesha kī tarah
ālimoñ aur adīboñ se hai milnā-julnā
ahl-e-daulat se gurezāñ huuñ hamesha kī tarah
mere ausāf se hotī nahīñ pahchān mirī
apne aiboñ se numāyāñ huuñ hamesha kī tarah
inqilābāt ke āhañg haiñ mere naġhme
barq huuñ āñdhī huuñ tūfāñ huuñ hamesha kī tarah
ho ke begāna-e-ālām zamāna maġhmūm
maiñ ġhazal-ḳhvāñ huuñ ġhazal-ḳhvāñ huuñ hamesha kī tarah