ehsās to mujhī pe kar rahī hai
chhūkar jo havā guzar rahī hai
jis ne mujhe shāḳh par na chāhā
ḳhushbū mirī us ke ghar rahī hai
be-samtī-e-ashk kī nadāmat
is baar bhī ham-safar rahī hai
Thahrā hai vo jab se rahguzar meñ
miTTī mirī raqs kar rahī hai
chupke se ghaḌī ghaḌī musāfirat kī
dahlīz pe paañv dhar rahī hai
taare bhī nazar na aa.eñ ghar meñ
aañkh aisī ghaḌī se Dar rahī hai
TuuTā huā aks le ke laḌkī
ā.īne meñ phir sañvar rahī hai