ye to sach hai ki TuuTe phūTe haiñ
mere bachpan ke ye khilaune haiñ
tapte sahrā meñ tez bārish ke
maiñ ne kitne hī ḳhvāb dekhe haiñ
kaun kis kī barahnagī pe hañse
sab hī zer-e-libās nañge haiñ
vo kabūtar the kitne garm-o-gudāz
ab bhī hāthoñ meñ lams chipke haiñ
in ke paanī se kyā bujhegī pyaas
ye ghaḌe to bahut hī kachche haiñ
zehn kā ik varaq bhī saada nahīñ
jaane kyā kyā savāl likkhe haiñ
paḌ rahe haiñ furāt par pahre
mere hāthoñ meñ ḳhālī kuuze haiñ