Shahida Hasan

hawa pe chal raha hai chand rah-war ki tarah

Shahida Hasan

Chatgaon, Bangladesh

1953
havā pe chal rahā hai chāñd rāh-vār kī tarah
qadam uThā rahī hai raat ik savār kī tarah
fasīl-e-vādi-e-ḳhayāl se utar rahī hai shab
kisī ḳhamosh aur udaas ābshār kī tarah
taḌap rahā hai bārishoñ meñ mere jism kā shajar
siyāh abr meñ ghire hue chīnār kī tarah
inhī udāsiyoñ kī kā.enāt meñ kabhī to maiñ
ḳhizāñ ko jiit lūñgī mausam-e-bahār kī tarah
tire ḳhayāl ke safar meñ tere saath maiñ bhī huuñ
kahīñ kahīñ kisī ġhubār-e-rah-guzār kī tarah
ubuur kar sakī na fāsloñ kī gardishoñ ko maiñ
buland ho ga.ī zamīn kohsār kī tarah
tire diye kī raushnī ko DhūñDtā hai shaam se
mirā makāñ kisī luTe hue dayār kī tarah
Top Urdushayar.com