savād-e-shām se tā-sub.h-e-be-kinār ga.ī
tire liye to maiñ har baar haar haar ga.ī
kahāñ ke ḳhvāb ki āñkhoñ se tere lams ke ba.ad
hazār raat ga.ī aur be-shumār ga.ī
maiñ misl-e-mausam-e-ġham tere jism o jaañ meñ rahī
ki ḳhud bikhar ga.ī lekin tujhe nikhār ga.ī
kamāl-e-kam-nigahī hai ye e'tibār tirā
vahī nigāh bahut thī jo dil ke paar ga.ī
ajab sā silsila-e-nā-rasā.ī saath rahā
maiñ saath rah ke bhī aksar use pukār ga.ī
ḳhabar nahīñ ki ye pūchhūñ to kis se pūchhūñ maiñ
vahāñ talak maiñ ga.ī huuñ ki rahguzār ga.ī