koī taara na dikhā shaam kī vīrānī meñ
yaad aa.egā bahut be-sar-o-sāmānī meñ
dam-ba-ḳhud rah gayā vo pursish-e-hālāt ke ba.ad
aa.ina ho ga.ī maiñ ālam-e-hairānī meñ
dil salāmat rahe tūfāñ se tasādum meñ magar
haath se chhūT gayā haath pareshānī meñ
sahl kartī maiñ taḳhātub meñ mukarnā tujh se
mushkileñ aur thiiñ is raah kī āsānī meñ
ab tirī yaad jo aa.e bhī to yuuñ aatī hai
jaise kāġhaz kī koī naav chale paanī meñ
aise aalam meñ mirī niiñd kā aaseb na pūchh
ḳhvāb māñge haiñ tirī chashm kī nigarānī meñ
khīñch rakhtī hai mire mire paañv ko dahlīz talak
koī zanjīr hai is ghar kī nigahbānī meñ