sarāb-e-shab bhī hai ḳhvāb-e-shikasta-pā bhī hai
ki niiñd māñgte rahne kī kuchh sazā bhī hai
tamām umr chunūñgī maiñ reza reza tujhe
pas-e-ġhubār-e-nigah ek ā.īna bhī hai
supurd-e-raqs kiyā maiñ ne har tamannā ko
lahū ke shor kī ab koī intihā bhī hai
maiñ kyuuñ na ek hī qatre se sair ho jā.ūñ
kisī kī pyaas ko dariyā kabhī milā bhī hai
miyān-e-rāh kaḌī dhuup meñ na chhoḌ mujhe
batā to de ki kahīñ ghar kā rāsta bhī hai
maiñ is charāġh ko dushman kī saf meñ kyuuñ rakhkhūñ
ye mere naam pe kuchh der ko jalā bhī hai
hazār lazzat-e-ḳhāmosh ke nashe meñ ho dil
suḳhan ke naam pe kuchh harf māñgtā bhī hai
mire ḳhilāf gavāhoñ kī kuchh kamī bhī nahīñ
magar har ek mire haq meñ boltā bhī hai
simaT ke rah ga.e dīvār-e-shahr-e-ḳhauf meñ log
kise ḳhabar ho ki zinda koī bachā bhī hai
hujūm-e-tishna-labāñ kā surāġh de mujh ko
virāsatoñ meñ mirī dasht-e-karbalā bhī hai