bevafā hai bā-vafā hai faisla hotā nahīñ
us se mil kar bhī haqīqat kā patā hotā nahīñ
jab chamaktī shāhrāheñ sāmne maujūd hoñ
mujh se phir pagDanDiyoñ par iktifā hotā nahīñ
dard ke rishtoñ kī apnī ik alag hai dāstāñ
fāsla hotā hai phir bhī fāsla hotā nahīñ
pesha-var logoñ se kyā leñ zindagī par tabsira
niiñd aur ḳhvāboñ se un kā vāsta hotā nahīñ
gahmā-gahmī zindagī kī uf ye raftār-e-jahāñ
biite lamhoñ ko dobāra sochnā hotā nahīñ