ibtidā kā intihā se rābta bāñdhe hue
ghar se niklā huuñ safar kā mudda.ā bāñdhe hue
be-yaqīnī kā ye aalam ho gayā hai āj-kal
aadmī das das jagah hai aasrā bāñdhe hue
vo to is ke hukm se hotā hai jo bhī faiz ho
kīmiyā kab hai shifā kā mādda bāñdhe hue
fikr-o-fan kī mahfiloñ meñ ab ye manzar aam haiñ
be-hunar be-ilm dastār-e-anā bāñdhe hue
un ke pākīza irādoñ kī hifāzat ai ḳhudā
be-libāsoñ meñ haiñ jo band-e-qabā bāñdhe hue
zindagānī kī haqīqat ye samajh lījiye ki bas
bulbula hai ek tūfān-e-balā bāñdhe hue
kār-āmad jaan kar ik āla-e-guft-o-shunīd
phir rahe haiñ log dāman se qazā bāñdhe hue