rishte bane hue haiñ sabhī ke sabhī ke saath
vābastagī nahīñ hai kisī kī kisī ke saath
TuuTā hai ik sitāra abhī āsmān se
phir bevafā.ī kī hai kisī ne kisī ke saath
raushan gharoñ meñ baañT dī phir raushnī tamām
insāf ye huā hai mirī tīrgī ke saath
itnī taheñ khulī haiñ ki khultī chalī ga.iiñ
ik baat us ne kī thī baḌī sādgī ke saath
us kī talāsh us kī talab us kā zikr-e-ḳhair
dar-parda bandagī hai mirī shā.irī ke saath