ham un se mil ke unhī ke asar meñ rahte haiñ
safar se aa ke bhī jaise safar meñ rahte haiñ
vo qahqahe jinheñ hoñToñ kā dar nasīb nahīñ
vo ashk ban ke mirī chashm-e-tar meñ rahte haiñ
hamāre ishq ke tohfe ko ehtiyāt se rakh
bahut se lauTne vaale nagar meñ rahte haiñ
bhulā.egā koī kaise karam rafīqoñ ke
ye tiir vo haiñ jo har-dam jigar meñ rahte haiñ
na maañ kā pyaar mayassar na apne ghar kā sakūñ
vo kaise log haiñ jā kar qatar meñ rahte haiñ
hasīñ misāl hai bāham nibāh kī 'kāvish'
gulāb jitne haiñ kāñToñ ke ghar meñ rahte haiñ