ġham se na āñsuoñ se na dīvāngī se ham
vāqif nahīñ the aap se pahle kisī se ham
zinda rakhīñ buzurgoñ kī ham ne rivāyateñ
dushman se bhī mile to mile ājizī se ham
sab sar-phirī havāoñ ko dushman banā liyā
raushan hue the laḌne ko ik tīrgī se ham
sāñseñ mahak rahī haiñ nigāhoñ meñ nuur hai
phir aaj mil ke aa.e haiñ ik aadmī se ham
sūraj to sirf din ke ujāle kā hai imaam
ham haiñ charāġh laḌte haiñ tīra-shabī se ham
badnām ho rahā hai muqaddar to be-sabab
barbād haiñ ḳhud apne amal kī kamī se ham